Sadma To Hai Mujhe Bhi K Tujh Se Juda Hun Mein

Ads go here

Sadma To Hai Mujhe Bhi K Tujh Se Juda Hun Mein
Lekin Ye Sochta Hun K Ab Tera Kya Hun Mein ?

Bikhra Para Hai Tere He Ghar Mein Tera Wajood
Bekaar Tujhe Mehfilon Mein Dhoondta Hun Mein

Mein Khudkushi K Jurm Ka Karta Hun Aitraaf
Apnay Badan Ki Qabar Mein Kab Se Gada Hun Mein

Kis Kis Ka Naam Laun Zaban Par Ke Tere Sath
Har Roz Ek Shakhs Naya Dekhta Hun Main

Na Jane Kis Ada Se Liya Tune Mera Naam
Duniya Samajh Rahi Hai Ke Sab Kuch Tera Hun Main

Le Mere Tajrubon Se Sabak Ae Mere Raqib
Do Char Sal Umr Mein Tujhse Bara Hun Main

Jaaga Huwa Zameer Wo Aaina Hai Qateel!
Sonay Se Pehlay Roz Jisay Dekhta Hun Mein.
Ads go here